Thursday, April 17, 2008

shiddat...

wo shiddat se kisi ko chaahna...
bhool gayi hain aankhein
ab samajh aata hai, kyun takra takra kar
kinaare se laut jaaya karti hain lehrein,
kyun raat bhar tik nahin sakta chaand
kyun ek saal beet-te lag jaate hain saalon
kyun ek lamha bhi rukne ko tayyar nahin
kyun sadkon ki apni koi manzil nahin hoti,
kyun manzilon ka khud nahin koi thikana
wo shiddat se kisi ko chaahna...