Wednesday, February 18, 2009

जाओ...

Jao…chale jao
Tumse hi toh hai saari pareshani
Saare dukh saare gham
Tumhare chale jaane se
yeh sab ho jayega khatam
Chale jao

Ummeedon ko aadat daalni hogi
Inka mere paas koi kaam na rahega
Ab yeh kisi aur ko paalni hongi
Inka hona tumse hi
Inka khona bhi tumse
Mera daaman toh chhoote
Phir bhale bhi hi yeh toote
Tum bhi na
Zara sakhti se pesh aao
Chale jao

Na chitthi na patri na koi thikaana
Apne haalaat mujhe na bataana
Dhoop mein jalo toh
Nange paon chalo toh
Kahin aadhi raah se lautne lago toh
Bas ajnabee ki hi tarah pesh aana
Jo kahin Raah chalte takrao
Chale jao

Ab na socho chalun ya rukoon
Ab toh naseeb ho thoda sukoon
Chaand bhi aaj diwali manayega
Thak gaya tha dekh kar kisi ka junoon
Kuchh saaf dikhega… Geeli aankhon se
Ya shayad tedha medha hokar beh jayega
Behtar hoga, Tum na haath lagao
Chale jao

Kahani thi khatm toh honi hi thi
Padhnewale kho gaye
Toh likhnewalon ka kya gunaah
Wo kyun hote kisi ke ashkon ki wajah?
Tum Kisi ke gham ka bojh na uthao
Koi ilazaam na sar lagao
Na alvida kaho, na ijaazat lo
Beparwah, befikr
Bas chale jao