Thursday, July 17, 2008

chaand aaj poora hai

chaand aaj poora hai..

jaagti aankhein jalti hongi...

roshan khud hai wo jahan bhar mein andhera kar ke

chalo kuchh der mein jagaa denge sawera karke

chaand aaj poora hai kaari badri tarasti hogi saari raat barasti hogi

laakh aanchal mein dhaka nazar bachane ko

chhip chhip ke milta raha wo kaatil zamane ko

chaand aaj poora hai

tootne ki aawazein toh aani hi thi

kahin dil tootenge kahin upvaas

kahin amaavas ki aas kyunki chaand...aaj poora hai

saara aakash adhoora sahi...chaand aaj poora hai

dhuaan...

dhuen mein udaa dene ko apna har hissa aaj

bechain hun

zinda rehkar kuchh kuchh galne ka maza

jaam se seenchi aag ke jalne ka maza

neend ko raat bhar ki sazaa sunaane ko

bechain hun

khayal aaj katra katra nikal rahe hain

shayad dhuen ki garmi se pighal rahe hain

ragon ke khoon mein ravaani si hai

aaj har baat mein kahani si hai

kash lekar gash khaati haqeeqat

kashmakash mein lamhe

uff kya museebat

mohabbat ke maare ashkon ko beh jaate dekh

bebas muskuraane ko

bechain hun

Wednesday, July 2, 2008

bechare computer ko kya pata...

Bechare computer ko kya pata…
Kyun achanak mohabbat se pesh aate hain? Ya kyun kabhi
Keyboard Gusse mein taptapaate hain?
din yun hi ban jaata hai jab wo muskuraate hain!

Wo Duniya bhar ki khidkiyon mein jhaankte rehte hain
aur yahan shabd nishabd se bas unhein taakte rehte hain
jaise unhi ki aankhon mein saari duniya nazar aati hai
kyun unki ek chhuan se hi system mein bijli si daud jaati hai?
bechare computer ko kya pata

playlist mein bajte gaane toh wo sunte hain
sirf ek click se apna mood chunte hain
wo sunta hai, sannate mein unki siskiyon ki sadaa
unke tapakte aasuon ka chashmadeet gawaah
bechare computer ko kya pata

Wo raat bhar jagaate hain phir tadke hi uthaate hain
Pata nahin kaam hai ya kuchh aur
likhte hain, mitaate hain...
wo na jaane kya chahte hain
khayalon ko bhasha toh di hai
par jo khayal bol nahin paate unka kya?
Bechare computer ko kya pata?