Monday, November 3, 2008

सात दिन

jaan chhudane mein
peechha hataane mein
saara kiya karaaya mitti mein milaane mein
ussey bas saat din lage mujhe bhulaane mein!
yahan fursat na beeti aansoo bahaane se
rakhe unki tasveer apne sirhaane se
dekha kiye kisi na kisi bahaane se!
yahan humne kiya ailaan e mohabbat saare zamaane mein
wahan zyada nahin unko
bas saat din lage mujhe bhulaane mein
ab kya karein iss toote fasaane ka?
jhoote daraane ka?
intezaar hai shayad
dil tootne ki aawaaz aane ka
ek khel hai dilon ka tootna jodna
phir aisa mazaa kahan vaada nibhaane mein
tabhi toh, unhein
bas saat din lage mujhe bhulaane mein!
ek umar beetti hai sapne sajaane mein
sunte the saat janam lagte hain rishte banaane mein
sacchha dildaar, pyaar pane mein
yahan hum lagey rahe haathon pe henna rachane mein
wahan unka dhyan tha rang bachane mein
hisaab ke pakke hain bahut
bas saat din liye humein bhulaane mein
panchhi udaane mein
raatein jagaane mein
kasmein tudaane meinapne armaan ganga mein bahaane mein
khoon sukhaane mein
yaadein jalaane mein
puraani tasveeron ko teeli dikhane mein
kahin kisi maikhaane mein
khud ko mitaane mein,
lagenge bahut roz shayad.
Aur unhein sirf saat din?
Hamesha wo aage rahe, jeeta kiye
Par iss baar koi gam nahin haar jaane mein………..