saloni hai sawli bhi,
pyaar mein thodi si bawli bhi,
akasmaat achanak muskaati hai...
haribhajan gungunaati hai
iss yug ki radha
gaiyya ko charaate, mann ka vicharan
jaane kab ho jayein hari ke darshan
unki baansuri ki taan par jame hain kaan...
taan par sapne hi toh bunti hai
koi na bhi bulaye toh sunti hai
iss yug ki radha
matki phodta hai, maa ko sataata hai
munh khole toh poora sansaar dikhata hai
gopiyon se raas kar radha ko jalaata hai
kaanha hai, jaanti hai phir bhi jalti hai
iss yug ki radha
wo shyam nahin shvet hai,
bas yehi ek bhed hai...
uski chhavi barson se mann mein chhupaye
radha ne kitne janam ganvaye...
par har roop mein apne kanhaiya ko pehchaanti hai
iss yug ki radha
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
wow!!!! brilliant thought and poetry! havent read such good hindi poetry ina long time! damn nice
Post a Comment