Tujh mein khud ko kho diya hai...
Ab dhoondne se bhi na milne paata hai khud
Kambakht saamne hi nahin aata hai khud
Khud ko talaash karun
Ya tujhe dekhun?
Tujhe dekhti rahun toh nazar aa jaata hai khudbakhud!
Khud ki thitholi se pareshan hun…
Khud kehta hai bhool jao
Yaad dilaata hai khud
Main door jaati hun
Toh wo paas aata hai khud
Aasuon se chidhta hai
Aur rula jaata hai khud!
Khud ko rokun toh kis tarah
Kalam ki syaahi mein baandhti hun…beh jaata hai
Badbadaate na jaane kya kya keh jaata hai
Bhaag bhaag ke har taraf bebas
theek wahin kyun reh jaata hai khud ?
sochti hun khud ki parwah chhod dun
bas ab khud se rishta tod dun
jeete-jee ek kabr mein so jaun
khud ek kafan hi odh lun
dafan hone ki duaen karta hai ek taraf
aur tujhise saansein udhaar lena chahta hai khud !
isiliye tujh mein khud ko kho diya hai...
ab aur kya chahta hai khud?
khud
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment