Thodi takleef honi zaroori hai…
Ek nayi kavita ke janm lene ko
Tees uthni toh zaroori hai
Meri kalam chalti hai in aasuon ki syaahi se
Shabd behte se chale aate hain
Thamte hi nahin, main thamne deti hi nahin
Aansoo namkeen hain, ghao khule hain
Main bharne deti hi nahin
Inki Jalan shayad inki mazboori hai
Thodi taqleef honi zaroori hai
Raat ke andhere se darr lagta hai
Saaye se dikhte hain
Saare ujaale paraye se dikhte hain
Aise mein na Koi haath thaam le,
Na koi mera naam le
Mere andhere mujhe hon mubarak
Acchi Roshni se doori hai
Thodi takleef honi zaroori hai
Ek ehsaan hai tumhara mujh par
Yeh dard zinda hai tumhari badaulat
Umr bhar ke liye
Shukrguzaar hun iss fikar ke liye
Jo aasaan ho jaati rahein meri
Toh kya reh jaata iss lambe safar ke liye?
Aage peechhe ka ab kissey pata,
Nishaan mit-te chale hain toh samjho
gumshuda si raahon mein
khone ki tayyari poori hai
thodi takleef honi zaroori hai
Badal hataa kar dhoop mein khadi hun
Pahadon pe nange paon chadhi hun
Raah chalte jo mila, ussey ladi hun
Bas aise hi aage badhi hun,
Yeh bhi kaafi nahin
Ab bhi bas nahin
Mujhe in zakhmon pe koi taras nahin
Tujhe gila hai mujhse toh tu hi baras kahin
Garaj kahin
Kyunki Mere dard ki pyaas ab bhi adhoori hai,
Thodi takleef honi zaroori hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
One of your best! Amazing writing. and what an honest thought.In this piece the writing really comes though.The thought, the selection of words,the honesty in them, the ruthlessness. Everything. Just superb!
सुंदर और गहन भाव.
सुंदर भावाभिव्यक्ति के लिए आभार.
www.merakamra.blogspot.com
Post a Comment