Wednesday, May 23, 2012

Ye lafz kiske sage hain...


Inspired from a thought by Siddharth singh: 

 
dhamkaate se dhamak ke,
halak mein ja atke hain,
ghoont bhar khoon ke saath gatke hain,
jee michlaata hai,
toh laut laut aate hain,
jeebh se phisle toh,
zehen mein khatke hain,
minute minute pe thage hain...
ye lafz kiske sage hain?

zubaan laal hai, na lahu se na laaj se,
paan chabaaya hai...
mahaul shayarana hai...
par kamzarf lafzon ka kya thikaana hai?
aankhon se niklein,
toh shayari ka haq dein,
jiski supari le lein,
usey cheer ke rakh dein,
zubaan se phir jayein,
toh zubaan pe phir aayein,
phir jo jee mein aaye bakte hain,
ye dil mein kya rakhte hain!
jab asli aukaat pe aate hain,
padhe likhon ko angoothe dikhaate hain,
bhains ki tarah kaale nahin,
dil ke kaale hain kambakht

behichak khade khambon pe moot-te hain,
paaltu nahin hain, sadak ke kutte hain!
kisne kaha sadak ke kutte bewafaa hote hain,
raat raat jaagte hain,
anjaani gaadion ke peechhe bhaagte hain,
bas aksar kachron ke dibbon se
bade kaam ki cheez nikaal laate hain,
wo toh gali bhi chhor gaye,
zamane wale ab bhi lage hain…
ye lafz kiske sage hain

No comments: