Friday, May 8, 2009

pooranmaasi

Wo kehte hain aaj pooranmaasi hai
Chaand poora hua lagta hai
Mujhe toh nahin dikhta
Har khidki se jhaank jhaank dekha hai
Roz ghuma ghuma kar
Ulat palat kar dekha hai
Kahin kahin se kataa hi dikha
Poore se toh ghataa hi dikha
Ek tukda toh mere paas hi raha tha
Diya jab usne khud hi kaha tha
Yeh tera hua aaj se…bas tera…
Phir kaise hua hoga?
Duniya ko toh aadat hai,Wo kya jaanein
maine kitne kareeb se dekha hai jaana hai
Ki wo bheetar se kitna adhoora lagta hai
Par wo kehte hain aaj pooran masi hai
Chaand poora hua lagta hai

No comments: