Jaal mein jaan jaankar pair fansaate,
din bhar daud lagaate.
Aur “Wo” kaali kothri ke baahar khatiya daal
Bas aawaz lagaaya karti.
“muon chot khaoge tab na maanoge”
Hum uss aawaz ko sunte, din bhar
Jaise radio bajta ho ek chhor se, Bina koi jawab maange.
Ek shaam uske paas baithkar,
uske chehre ki jhurrion ki ginti karni chaahi thi maine
bajte radio ke sur mein
hisaab bas dus tak aata tha tab
jaane kitni dafaa dus aaya tha uss din.
Bas nahin aaya lautke kabhi wo din…
Jhakk safed sari pehne, safed baalon wali wo budhiya
Bahut door ke rishte mein kuchh thi meri
Shayad nani ki saas
Yehi koi sattar saal ka fark raha hoga hamari umar mein,
Par uska kadd… jhuk kar aa gaya tha mujh tak
Aur mujhe lagta tha mere hi jaisi hai koi
Meri humumr. Ek dost.
Kuchh bhi keh sun liya karti thi ussey.
Ek baar uske pheeke chehre par
laali potne ki zidd kee maine,
jaane kaise usne samjhaya, bujhaya, bhagaya hoga
yaad nahin ab khaas.
Par aaj bhi…jab kahin achanak kisi jaal mein pair atak jaata hai,
Toh jaise radio sunaai jaata hai
“muon chot khaoge tab na maanoge”
Phir sambhalti hun, aage badh jaati hun
Theek vaise hi daud lagaati hun.
No comments:
Post a Comment