Monday, November 3, 2008

सात दिन

jaan chhudane mein
peechha hataane mein
saara kiya karaaya mitti mein milaane mein
ussey bas saat din lage mujhe bhulaane mein!
yahan fursat na beeti aansoo bahaane se
rakhe unki tasveer apne sirhaane se
dekha kiye kisi na kisi bahaane se!
yahan humne kiya ailaan e mohabbat saare zamaane mein
wahan zyada nahin unko
bas saat din lage mujhe bhulaane mein
ab kya karein iss toote fasaane ka?
jhoote daraane ka?
intezaar hai shayad
dil tootne ki aawaaz aane ka
ek khel hai dilon ka tootna jodna
phir aisa mazaa kahan vaada nibhaane mein
tabhi toh, unhein
bas saat din lage mujhe bhulaane mein!
ek umar beetti hai sapne sajaane mein
sunte the saat janam lagte hain rishte banaane mein
sacchha dildaar, pyaar pane mein
yahan hum lagey rahe haathon pe henna rachane mein
wahan unka dhyan tha rang bachane mein
hisaab ke pakke hain bahut
bas saat din liye humein bhulaane mein
panchhi udaane mein
raatein jagaane mein
kasmein tudaane meinapne armaan ganga mein bahaane mein
khoon sukhaane mein
yaadein jalaane mein
puraani tasveeron ko teeli dikhane mein
kahin kisi maikhaane mein
khud ko mitaane mein,
lagenge bahut roz shayad.
Aur unhein sirf saat din?
Hamesha wo aage rahe, jeeta kiye
Par iss baar koi gam nahin haar jaane mein………..

Wednesday, October 29, 2008

katl

मैंने आज एक फ़ैसला किया है
एक कत्ल करने का फ़ैसला...
मेरे चाकू की धार पैनी है
लगते ही खून के फ़व्वारे फूट पड़ेंगे
पर आज पहली बार खून बहता देखने को जी चाहा है
उसे मरना ही होगा
अगर मुझे जीना है तोह उसका खून करना ही होगा
कोई अलविदा नही कोई शिकवा गिला नहीं
इसकी कोई वजेह कोई सिला नहीं
जब वो ही नहीं तोह बाकी कोई सिलसिला ही नहीं
मुझे सज़ा की फिकर नहीं
बर्बादी का डर नहीं
मुझ पर अब इन बातों का कोई असर नहीं
मैंने आज एक फ़ैसला किया है
उसके जीने से किसी को क्या हासिल
उसके मरने से किसी का क्या वास्ता
उसके पैदा होने की ख़बर बहुत थी
उसकी साँसों का सबर बहुत था
मेहरबान होकर जिंदगी दी थी एक दिन
अब मौत का एहसान भी अपने ही सर लिया है
मैंने आज एक फ़ैसला किया है



Friday, October 3, 2008

दुनिया कहती hai ...

Meri ma buri hai…
Maine dekha hai, duniya kehti hai
Ussey har dam kisi na kisi baat ki uljhan rehti hai
Bol padti hai barbas
Dekhte reh jao bebas
Jo ek baar gussa jaaye toh phir kahan kisi ki sunti hai
Meri ma buri hai,
Maine dekha hai, duniya kehti hai
Mera dukh bardasht nahin ussey bhale
Par munh se kataaksh aise chale
Ki jaise teer pe teer nikale
Apni par aaye toh rukne ka naam nahin leti hai
Meri ma buri hai
Maine dekha hai, duniya kehti hai
Sab kehte hain kaleja patthar hai
Ek cheekh pe toh sab kaanpe tharthar hai
Jo meri ma hriday banjar hai
Toh kabhi kabhi kyun uski aankhein behti hain?
Meri ma buri hai…
Maine dekha hai, duniya kehti hai
Bhool karti hai pachhtaati hai
Aksar dikha nahin paati hai
Aise mein jo chahe wo samajh le
Khud se ladti hai roz wo shayad
Bheetar shayad roz dehti hai
Meri ma buri hai…
Maine dekha hai, duniya kehti hai

Sunday, September 28, 2008

मरना होगा ???

मरना होगा ???

डर लगता है मरना होगा...
फिर से जीना होगा
एक और जनम लेकर
दोबारा तुमसे मिलने का इंतज़ार करना होगा
इस जनम लगाये इतने साल तुमने
जो जल्दी मिलना हो तुमसे
तोह क्या करना होगा?
डर लगता है मरना होगा
क्या यूँ ही हाथ छूट जायेंगे?
जो साँसों के बंधन टूट जायेंगे
यह कहानी हो जायेगी यहीं ख़तम
जो यह लम्हे गुज़रा हुआ कल हो जायेंगे
यादों की गलिओं से
फिर एक बार होकर गुज़रना होगा
डर लगता है मरना होगा

Wednesday, August 20, 2008