koi kusoor nahin
kisi ka gunaah nahin
zor zabran toh kuchh hua nahin,
phir kyun jaane jee chahta hai, tum par court kachehri kar dun
mukadma chale adaalat ho
katghara ho mujrim ho vaqaalat ho
kaale coat hon, hathaudon ki chot ho
sunwai bhi ho, ruswai bhi ho,
thoda jhooth toh thodi sacchai bhi ho,
geeta ki kasmein hon, rasmein ho, gawahi ho
baaton mein kuchh teri kuchh meri tabahi ho
ek raaz jo khule dooji paheli gehri kar dun
jee karta hai zaalim tum par court kachehri kar dun
daleelein ho par faisla na ho paaye
judge kitna bhi order order chillaye
muqaddma multavi karne ki naubat na aaye
sabooton ko maddenazar rakhte hue bhi
kanoon sachmuch andha ho jaaye...
aise mein sab ek shaam raat dopehri kar dun
jee karta hai zaalim tum par court kachehri kar dun
pesh kiya jaaye usko jiski barson se talaash ho
jo mil ke bichhda ho bas abhi abhi
saamne aaye par mil na paaye kabhi
daaroga ke saath khada ho sar jhukaye
iss par rehem khaun toh khule bandhan ko hathkadi kar dun
jee karta hai zaalim tum par court kachehri kar dun
insaaf ke taraazu ke dono paale barabar hon
saza ki ummeed aur rihai ka darr ho
faansi sunakar kalam tootne ki aawaz aaye
koi yun hi jeete rehne se toh baaz aaye
zindgi na sahi chalo aaj ek maut hi sunehri kar dun
jee karta hai zaalim tum par court kachehri kar dun...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment