Friday, June 20, 2008

ek os ki boond...

ek os ki boond ho...
na jaane kya kuchh kar guzarne ki khwahish hai
seep se nikalkar moti banne ki khwahish hai
abhi aasmaan khula hai,
zameen paas aa rahi hai
badalon ki taan par
hawa gungunaa rahi hai

neeche ki zameen saaf dhuli si hai
mitti ki khushubuen fizaon mein ghuli si hain
abhi toh aadha safar tay hua hai
yeh jahaan..
upar se bahut chhota dikhta hai
paas aate aate kuchh aur sanwarta hai
par bahut jald takraoge dharti se...sach se
kathor hai.
zara samhalna

maalum hai sarfarosh ho,
apne junoon mein madhosh ho
par raaste mein milenge
aur toofan josh se bhare
rokenge raasta tumhara beech mein khare
tab sirf junoon kaam aayega
issey bacha lena

khud mein badal se kam nahin tum maana
kaandhe pe uthaya hai saara zamana
par os ki boond ho tum
deh na jaana
hawa ke kisi andekhe jhonke mein beh na jana
kuchh bojha ho sake toh baant lo
itna kuchh khud mein samaye na chalo
jo kar liya bahut hai,
aage aur bahut kuchh karna
aasman se zameen tak ke safar mein
tum apna khayal rakhna

2 comments:

Bhaskar Anand said...

Wah i was just lookign for soemhting related to oss ki boond and i found this this is too good

I will be following ur blog from now on

Cheers
Bhaskar

Akshat Prakash said...

Wow its rare to find people writing such good hindi poetry.